Saturday, November 29, 2008

Tanahai !

Saturday, November 29, 2008 0

Kehtay hain buray doston aur buri suhbato'n se tanhai bohat behtar hoti hai magar ye batain dar-haqiqat hamari zindagi main lafazi se ziada koi ehmiyat naheen rakhteen (sach kaha na?). Ajeeb baat ye hai ke bohat kam log hum main se 'Akailay-pan' aur 'Tanhai' ke darmiyan mojood farq se waqif hotay hain.. (Lijiye baaton baaton main ghar bhi agaya)
Jantay hain mujhe apnay ghar ki sab se achi aur sab buri baat ik he lagti hai aur wo hai hamaray ghar main mojood sab hi logon ki beinteha masroofiyat. Ab ye jo samnay walay kamray main aram se so raha hai isi ko dekh lain han han! yehi jo 1:00 bje tak asmaan par taray ginta hai ye mera sab se chota bhai hai umr hai 13 saal MASHALLAH se shehr ke meh'nge tareen school main parhta hai chand achay larko ka dost bhi hai, din bhar parhai or khail-kood main masroof rehta hai phir bhi khud ko "TANHA" mehsoos karta hai. Bhala hai koi baat?
Ab is kamray ke dai'n janib jo kamra hai na wo kamra mera dada-jan ka hai umr unki kareeban satar (70) hogi. Jawani main kabhi Allah ke agay naheen jhukay magar ab sirf yehi kam kartay hain. Ye bhi din bhar namazain shukranay ki, farz aur qaza ki ada kartay rehtay hain. Doston se bhi miltay rehtay hain phir bhi "TANHA" hojanay ka gila karte hain. Khuda ke saath bhi tanhai?
Yeh jo sehriyan charh kar samnay he darwaza hai ye meri behan ke kamray ka hai. Duniya ka koi kam karna uske bas ki baat naheen. Aray! wo to apna kam he minaton se karti hai wo bhi sirf zarori to hum hareeb kis khait ki moli hain? Din bhar mohtarama hamaray ghar ki riwayat ko barqarar rakhtay hoay ghar main mojood he naheen hoteen or jo kabhi waqr mayasar ajaye to t.v ke remote ki mano shamat ajati hai itni masroofiyat ke bawajood usse bhi "TANHA" honay ka gilla hai.
Ye dai'n janib khulnay wala darwaza un do hastiyon ke kamray main khulta hai jo humain duniya main lanay ka zarya banain hain. Bilkul jee humaray waldain, jo subha uthtay he kam ka aghaz kardetay hain. Ik kamray main rehnay walay ik dosray ki shakal se nafrat kartay hain itni nafrat ke na to ik dosray ki shakal dekhna chahtay hain aur na he dekhana chahtay hain. Dono apni he zaat main gum hain aur khud ko apni apni jaga "TANHA" mehsoos kartay hain.
Raha sawal mera to ye serhiyon se bai'n tarf janay wali simt par bana akhri darwaza meray kamray ka hai jahan hasb-e-haal cheezain be-thikana hongi. Kai kapray bistar par honge jinhain main har raat sonay se pehlay utha kar kursi par dal deta hun aur jab kursi par bethna ho to bistar par dal deta hon. Kamray main dakhil hotay he boo ayi thi na? ye paint ki hai. Meray ghar walon ko lagta hai ke main "TANHA" hon tabhi din bhar awaragardi karta rehta hon kamra bekhair ke rakhta hon jab ke sirf main janta hon ke
"Wo Sab Tanha hain Main To Sirf Akaila Hon"

Friday, November 28, 2008

'MulaQaat' ! (III)

Friday, November 28, 2008 0

"kuch hoa hai? gum sum kiun ho?" Uski awaz pe mujhe chokna he para wo haray se rang ke kapray se baal bandhay haray he suit main meray samnay khari thi
"Naheen!" main ne halkay se jawab detay hoay bench pe uskay bethnay ki jaga di
"Kya naheen? kuch hoa 'naheen' ya gum-sum 'naheen' ho" usnay bethtay he mera hath pakr lia ussay meray haath bohat achay lagtay thay wo aksar poochti thi ke main apni skin ke liya kia kerti hon main hameesha btati hon ke aisa kuch naheen hai magar ...
"............ pata hai.." wo shayed kuch keh rahi thi phir meri ghairmojoodgi mehssoos karke khamoosh hogai
"Kya hoa?" mujhe dekhtay hoay usne ik bar phir poocha magar main btati bhi to kia or kaise btati wo to kuch janti hi nahin thi main ne btaya he kab tha uska bhi qasoor naheen tha mukamal..
"Kuch naheen! kahir tum btao tumharay admission ka kia bana?" Main ne uski tawajjo uske oper mabzool karwani chahi magar wo bhi to apne he naam ki ik thi bhala kaise mumkin tha ke wo man jati
"Tum mujhe apna dost naheen manti na?" usne afsurdgi se pooocha
"awww! ye kisne kaha ? isa kuch bhi naheen hai" main ne hiran hotay hoay use jawa dia
"Aisa he hai kiun agar main tumhari dost oti to tum mujh se apni batain share karteen tu meri dost ho main tumhari dost naheen hon mujhe pata hai" usne meri sooch se zyada gehri baat ki
"Kya ye dono ik he baat naheen hai?" main ne usse ik baar phir behlanay ki koshish ki
"Tum mujhe bacha kiun samjhti ho?" usse ghssa agaya
" Bacha samjhnay ki kya baat hai?" main abhi bhi kuch samjhnahin payi ke yakdam usse kia hoa
"Yar please! aisay mat act karo jaise tumhain pata he na ho ke main kia baat kar rahi hon" wo kapray jhartay hoay khari hogai
"Suno! to ... yar hoa kya?" main usse poochti reh gayi magar wo rukay baghair sunay baghir chalti chali gayi..

Pata hai main abhi tak uske intezar main bethi hon pata naheen kiun par mujhe khushfehmi hai ke wo wapis zaroor ayigi magar kya mazi main se koi yun naraz hokar jata hoa palta hai ? jo wo paltay? naheen na! phir? mujhe kiun mujhe aisa lagta hai ? Sandy kehti hai sawal karna achi baat hai.. waqai? kabhi kabhi main bohat ajeeb hojateen hon janay walaon ko aksar yehi shikayat rehti hai magar .. or kia karon? unhain rokon? magar unhain rukna he tha to wo gaye kiun? Azzan shuru hogai hai ahhh! mjhe bhi chalna chahiye.. WO BHI NAHEEN AYEGI! kam se kam aj ki tareekh main to naheen [hehehe] mujhe pata hai yun hansna pagalpan hai magar...
To Be Continued..!

'MulaQaat' ! (II)

"Kahan theen itnay din?"
"Kaheen naheen"
"Matlab?"
"kuch naheen"
"To ayeen kiun naheen itnay din?"
"Aise hee.."
"Aise hee kya?"
"Kuch naheen"

Main pata naheen kiun phir chup si hogayi shayed meray sawal khatum hogaye thay ya shayed uske jawabat hogaye thay.. waisay ye "SHAYED" bhi kitna doghla lafz hai na! isse laga ke jumlay main app kuch bhi keh saktay hain or phir baray aram se app us baat se apni lataluqi bhi zahir kar saktay hain (mujhe apni halat par hansi arahi thi or kiun na ati main aksar apne app koi bhi nahin bakhshti).=)

"Pata hai kya..!"main apni zaat main gum hoa chahti thi ke wo mujhe haal main hench lai
"Kia?" main ne use sawaliya nazron se dekha mujh se nazrain churatay hoay usne apne dikhnay ka zaviya badal dala
"kuch nahin!" usne hathon main chehray ko chupa lia bilkul aise he jaise shutarmurgh rait main apna mun chupa leleti hai bilkul aise he jaise kabotar ane walay halat se khud ko bekhabar zahir karne k liye ankhain band karleta hai! magar... usse hoa kia? main ne kuch soochtay hoay ussay dekha kaheen... nahin nahin (mera demgh bhi na minute nahin lagta phalangnay main high jump ka shoqeen jo t'hera)

"Acha na batao kuch bhi sirf itna bata do mad-e-muqabil kon tha?" Main ne usse uksaya
"Uski to main...." wo kuch kehtay kehtay ruk gaye
"Na na gaali nahin ALLAH naraz hojain ge" main ne use gali denay se ruka tha
"Allah razi kab hai?"usne mauskun lehjay main kaha
"Allah na kare ke Allah tum se na-razi ho .. hoa kiya hai? ye to batao na.." main ne usse kuraidnay walay andaz main samjhaya
"Tum itni mutmaeen kaise rehleti ho? tum khushnaseeb ho jo khuda sameet ye jahan bhi tum par mehrba'an hai" Wo najanay meray samjhanay ko kiya samjhi jo itna kuch bol gayi andar kuch chbha tha.. kuch dard utha tha ander..
"Main samjhi nahin kiya kehna chahti ho tum? main to bas tumhain ..........." mujh se bola he nahin gaya ander ajeeb tor phorh ho rahi thi ..
"Naheen wo main...shit yar! dekh yar I am sorry mujhe maaf karde aj mera demgh kam nahin kar raha please mujeh nahin pata kya aul faul bol gayi main " Wo pata nahin kya kuch keh rahi thi magar mujhe to usne mazi ke puranay qissay main kisi urani jaga pe lakhra kia tha.. jahan yehi sab tha bas kirdar koi or tha... han koi or tha wo to naheen thi han wo nahin thi .. main khud ko samjha rahi thi magar meray gird andheray chah rahay thay jo awaz kano main gonj rahi thi wo jani pehchani thi han main pehchanti thi is awaz ko or pata hai wo wohi nazam suna rahi thi jo usse bohat pasand thi pata hai kon si nazam ..? ye wali!

Kaise karigar hain ye!
Aas k darkhton se,
lafz kat'tay hain or sirhiyan banatay hain,
kaise bahunar hain ye!
Ghum k beej botay hain,
or dilon main khushion ki khaitian ugatay hain,
kaise charahgar hain ye,
Waqt k samndar main,
kishtian banatay hain ap doob jatay hain!

To Be Continued...

P.S( I cant write more but wanted to so i wrote it. I am sorry readers!)

Monday, November 24, 2008

MulaQaat ! (I)

Monday, November 24, 2008 4
"hum pphir milain ge.. ""magar suno to.."
"nahin phir kabhi sahi aj nahin jaldi hai"
"par..""par.. woh hotay to tumhain bhi ura le jati par hain he nahin"
"meri baat to suno.."
"kal suno gi aj waqt khatum hoa"
"kal?"
"han .. kal yaheen milna.."
Wo roz yehi to karti thi .. har bar yehi hota tha mujhe bura bhi lagta tha magar kia kiya ja sakta hai us say milna bhi zaroori tha. Koi or ye dekh le to yaqen na kare k ye mein keh rahi hon mein.. jo logon mein na jane kia kia mashoor hon han mein .. mein uski sari naaz bardariyan bardasht karti hon KIUN? kiun k wo mujh se kuch nahin pochti , mujhe kuraidti naahin .. Anjaane mein meray kisi zakhum ko hara nahin karti bas ati hai cheekhti hoi kabhi hansti hoi or kabhi chotay bachon ki tarhan roti hoi.. Usay mujhe se chota ban'na acha to nahin lagta tha magar wo tajarbay ki bhati mein he nahin umr mein bhi mujh se kuch choti hi thi go k asal umr usnay mujh kabhi nahin batai par mera andaza hai .. :) roz ki tarhan wo kal phir mujhe milegi najany kab tak wo milegi shyed tab tak jabtak ussay koi dost nahin mil jata (hum ik dosray ko dost nahin mantay) wo kehti hai waqt ne usay ik acha dost sabit kabhi nahin kia so.. hum dost nahin ban saktay. Usay najane kia kia ghalat fehmiyan thi.. ussay lagta tha ke mein bohat aqal mand hon isiliye chup rehti hon .. jab k mein to.. shayed lafz bolna bhool gayi hon jabhi chup hon ussey pata nahin k main chup hon kiun k meray ander bohat khamoshi hai.. Usay dost achay lagtay hain aisa nahin k uske dost hain he nahin magar wo yehi kehti hai ya shyed wo uski dosti k may'ar par pura nahin utartay hi nahin honge ye bhi hosakta hai wo he unko na samjh pati ho .. mein hameesha is "HO SAKTA" or "SHAYED" mein phansi rehti hon or wo.. wo itnay yaqeen se kehti hai jo kehna chahti hai k uski baaton main mojood yaqeen pr yaqeen karnay ko jee chahta hai.. Uske pass masail or shikayat ka ambar laga rehta hai jab mein uske samnay ye kehti hon to wo palat kar tunak kar kehti hai
" Fursat milegi to inahin dil k daftar mein saja dongi magar jab fursat milegi tab"
"fursat mili or tm bhool gayeen to?"
"to kia? tum ho na yaad dilanay k liye.."
"mein kia isliye hon?"
"to kis liye ho?"
"is kam k liye hargiz nahin hon"
"oho.. msroof bandi ko to dekho"
"shaksiyat b ap keh saktin theen"
"han han wohi nasihat bibi"Mein jab ussay kuch samjhati wo yunhi karti thi kabhi mujhe nsihat bibi kehti kabhi aflatoon kabhi kuch kabhi kuch or jab mein kuch nahin kehti thi tab halke se meray kan mein kehti..
"Tumhari sab se buri baat yehi hai k tum dil ko zaban se rabta nahin karne deteen"
"matlab?"
"Tum sooch k batao k akhri bar kab kisi ko palat kar kuch kaha tum ne jb kisi ne meri tarhan tumhain tang kia? sooch k batao"
"phr sochnay do"
Wo samnay khari thi or main soochne sochne mein najane kitnay kos peechay chali gayi thi.. kuch dar thay jinahin mein ik bar phir kholany lagi thi k usnay mujhe phir jagaya.."Aye..l mein ja rahi hon kal milain ge..""magar..""KAL .. kal milain ge"wo kabhi alvida bhi nahin kehti thi na hi mujhe kehnay deti thi usay kabhi "GOOD-BYE'S" achay nahin lagtay thay or mujhe .. sirf ye kam achay se karna ata tha...


To Be Continued..
 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates