Saturday, January 8, 2011

be-rabt!

Saturday, January 8, 2011 2

Mujhe naheen maloom shayer shairi main kisko khojtay rahte hain. Kia gulaab ka zikr krte hoay bhi wo us pari-wsh ki tasveer ankhon main sajaye hotay hain ya dehaaan main bas woi gulaab uski narmi basi hoti hai. Mujhe ye bhi naheen maloom bananay wala khoobsurti ko, kamal par foqiyat deta hai ya naheen. Mujhe bas itna pata hai k mera din dhalnay se lekar subh-e-sehr tak unwannay guftago ik he zaat hai. Kuch soochain hoti he itni haseen hain k alfaaz unke liye kam par jatay hain wo to phir shaks hai. Main naheen chahti k wo kabhi bhi yeh parhay meri tehreeer samjh kar magar kabhi parhay agr to un andekhay jazbat ko jinhun ne majboran mujh se ye likhwaya. Main ab tak halat-e-khuwab main hon, ho sakta hai jab ankh kholay to yeh sab mojood he na ho magar jo abhi hai wo haseentareen hai. Hosakta hai wo mujhe na chahta ho magar meri mohabbat k liye yeh zaroori he kab raha hai ab ya shayed yeh bhi ik farzi baat hai. Abhi khuwab main hon to kehna asaan hai. Han uski judayi shaaak hogi dil par magar ……

 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates