Sunday, February 6, 2011

Thought # 0 paragraph 5 :P

Sunday, February 6, 2011 6
Mujhe naheen maloom har ghum ki aziyat ik jaisi he hoti hai ya kuch ghum dosron se baray hotay hain. Mujhe aj bhi yad hai main bhi har bachay ki tarhan sahil k pass matti k gharonday (ghar) bana kar bohat khush hoti thi, pani ki har onchi lehr ko ata dekh kar uskay gird hath yun rakh leti thi jaise mere hath us gahr ki hifazat kar lain ge. Usay bacha lain ge! Wo onchi lehrain sirf un mitti k gharon ko he naheen meri umeed meri khushion sab ko ghari bhar k liye he sahi apne hajam(size) se dara deti theen. Aj itnay sal guzar janay k bad bhi wo lehrain mujhe mehsoos hoti hain. Wo dar aj bhi lagta hai, wo halat mukhtalif hain. Ab na wo matti k gharonday hain na sahil k pass wo ghar bananay ka waqt. Zindagi to badal gayi laikin wo asasa chin janay ka khauf aj bhi mere andar mojood hai. Us waqt ki tarhan aj bhi main khamosh hun. Hathon ko ghardon k gird rakh kar jis tarhan tahafuz dene ki sayi (koshish) karti thi usi tarhan aj bhi har tofan ka muqabla karte hoay khud ko mazbooti se khara rakhnay ki koshish zaroor karti hun. Dar achi cheez hai ye humin ehsaan dilata hai k koi sheh humaray liye kitni zaroori hai par kabhi kabhi yeh andar se yun kuch khatum kardeta hai k admi sans bhi leta hai or mar bhi jata hai…

P.S( I am perfectly fine not upset at all… its just a thought) :)

- UnhinGed!
 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates