Wo kamray main band thi, subha se sewai mayi khira'n ke kisi ne andar jahanka tak na tha. Agar roz ki tarhan ka ye koi din hota to Amma Bi (dadi) zaror adhamktee'n ke wo bahar kiun nahin ayi, nashta kiun nahin karti or ik jumla to zaroor keheen"Ni Zhora! ye sawairay sawiray kia nahosat pehla rakhi hai chal bahar aa" Ye sooch kar he uske lab muskura uthay magar dil amin khayal aya ke (Ye aam din he to nahin hai warna aj bhi roz ki tarhan baba mujhe uthatay main ankhain band karti jhoot moot or wo piyar se meray bal sehltay rehtay jab tak main uth na jati). Han ye aam din kaise hosakta hai aj faislay ka din jo tehra. Wo khud bahar nikal ayi dekha ke amma bi, Maui khira'n, Bharjai, Adi or Amma sab janamaz par behtay kisi mojzay ke muntazir hain.. (Ye mojzay kia aj bhi hoa karte hain) usne soocha phir asmaan ki janib nigha ki (kia wo waqai wo KHUDA hai agar wo khuda hai to ye "fasila" karne walay kon hotay hain .. ye kon log hain jo zindagi or maut ke malik o mukhtar banay behttay hain) wo sooch he rahi thi ke shoor utha "Sai'een" ghar main dakhil hotay hain.. Wo dorti hoi dalan pohanchi jahan anjaan loogon ke darmiyan afsurda sa uska BABA chala ata tha.."Baba! Baba!" wo unhain pukrna chahti thi magar ye kia.. unke saath wo bhi th jiska aj faisla hona tha .. (To kia wo jeet gaye thay faisla?) dil-e-nadan main khushgumani paida hoi ke dimgh baba ke chehra par afsurdagi ko dil ki khushgumani par ghalib lata hai (to kia wo har gaye?)
--------------------------Manzar badalata hai!---------------------------------
Kamray main behtta wo shaks kisi katya main nahin balkay apni alishan khoti main sir diye yun behtha tha jaise sab luta aya ho Or kiun na behtha aj wo apne bettay ke muqablay main betti ko har he to aya tha. Wo betti jo jab is duniya main ayi thi to usne na janay kitnay ghareebon ko khana khilaya tha, ktnay he umra'a ko taheef bhejwaye thay. Kitnay he din jashn mana kar usne us betti ke anay ki khushi manai thi tab kisi ki yad aj ke din ki tarhan zehn main utri thi uski jisne lal jora pehan kar usse bad dua di thi kaha tha" Main to ja rahi hon magar Khuda kare ke to us dard ko mehsoos kar sakay jo meray bap ne saha hai, teri betti bhi kisi ke karda gunahon ki saza bhugtay"Han wo baddua sach hogai thi . Wo ladli usse cheen li gai thi wo jiski subha apne baba ke baghair nahin hoti thi.. gar usay puri zindgai ussi bap ke baghair guzarni pari to kia wo jee paye gi?Kamray pe dastak use khayalat ki mehfil se bahar le to ayeen magar wo ab bhi gum sum tha.. Anay wali ne uske pass zameen main beth kar uske pair pakkar liye thay"Saie'en kuch to karo! meri bachi ko bacha lo""Kiun Maryum! tumahin to betta chahiye tha na.. Babba khush ho tumko tumhara betta mil gaya..""nahin sai'een! meri bachi bohat choti hai wo nahin jee pai gi! sai'een! usse bacha lo wo .. to tumaharay baghair mar jayegi... Jargha kia kehta hai koi to dosra rasta hoga?""Han rasta hai! hum unki betti ko apni bahoo bana lain..""Sai'een karlo aisa main tumharay pair parti hon meri bachi ko bacha lo .. unki betti ko main seenay se laga kar rakhon gi""Magar hm...""Naheen Sai'een kab tak (anaya wali girbaan pe hatth dalti hai) zulm ki inteha karo ge? kab tak oladon ko zmeen ke wastay qurbaan karo ge! Nahin sai'een mujhe nahin maloom mujhe betti la do wapis wo mar jayegi.. tum usay na dekho to uska dil toot jata hai wo ghantoo'n sooochti rehti hai ke uska bap usse be-inteha chahnay wala ussay nazarandaz kiun kar raha hai? Ik bap ban kar soocho, kia waja batao ge betti ko ke tum ne usse apne azeem dushman ke hawlay kis aisi waja se kardia jo uske honay se bhi barh kar hai?" Wo usse ayinay main jo shakal dekha rahi thi wo bohaty bhayanak thi wo seh na paya tabhi chekha.."To kia karun? betta baich don? To bata kiya karun? Kaise bachaon ussay kia karun! bolo .. bolo na.. (uska gala rundh gaya) Kia haun ussay? kaise samna karon uska? kia kahun ke meri guriya tera baba tera soda teray bhai ke ewaz kar btha ab to meri guriya nahin rahi main ne haq kho dia?" Wo ro raha tha ... wo jo jageerdar tha, Jiska hukam ik gao'n manta tha wo ro raha tha girgira raha tha..
---------------------------------------------------------------------------------------
"Ama Bi!""Han put'r! bol..""Baba ko kia hoa subha se meray pass nahin aye.." Betian shayed hoti he khushgum'an hain."Kuch nahin put'r! To bhi na bas baba baba karti rehna kabhi usne nahin dekha to shikayat dekha to shikayat .. tujhe nahin pata kia ke zameeno main kitna bakhira hai" Ama bi ne jawab diya"Kia zameenain betion se barh kar hoti hain Ama Bi! meray liye to ktabain BABA se ziyada zaroori nahin hain na hi ashliya meri guriya agar main us se khail bhi rahi hoti hon to BABA ke anay par ussay chor kar BABA k pass chali nahin jati kia?" Wo bhi poti unheen ki thi.."Hain hian! na tera guriyon se khailna or uska zameendari ka kam barabar kaise hogaya! kia baat hai Wo to mera sona RAB kahir kare k to ik he hai nahin to na jane kia hota.. tera to bap ka kurta chornay ka dil he nahin karta" unhon ne revaiti aurat honay ka saboot dia."Ama Bi!""Huuuun? ab kai hai""Ama Bi! ye khoo'n baha kia hota hai?" Aisa laga jaise kisi ne us baray se zanan kahnay main mojoob sab ki quat-e-goyayi salb karli .. Ama bi ka chehra lathay ke manind safaid par gaya.."Bibi! apne kahan suna ye lafz?" Mayi shakoora ne Zohra se poocha"Baba ke kamray main kal lala keh rahay thay ke hum bhaya ko khoon baha dekar chura saktay hain...Ama malish to karain idr nahin hoi seedhi taraf "Zohra ne apni dhun main jawab diya.. Wo to keh kar chup hogai ye dekhay janay baghair ke uska bap zameen par beth gaya hai uski ankhon se shidat-e-ghum aya'n hai uske hoont phar phara rahain hain wo kuch kehna to chahta hai shyed maffi mangna chahta hai magar kuch bol nahin pa raha yahan tak ke is koshish main hawas kho bethta hai .. Hosh khonay se pehlay jo akhri lafz uske kano'n main para tha wo uski betti ki pukar thi, uski betti ka usse dekh kar wo "BABA" kehna tha.. KASH wo bas ye lafz sunta hoa mar jaye.. maut he to ab uski talab thi wo kaise dekh payega wo gulab chehra safaid rang main lipta wo nanaha sarapa wo bari bari ankhon main dard ka darya wo uska dehleez ka par karna wo bhi ik khoo'n bahay ki sorat main ..
--------------------------------------------------------------------------------------
"Sai'een!""Baba!""Badshah sai'een"Tarhan tarhan ki awazain uske kan'on main pari wo har bara ke utha dekha to manzar he oor sa tha"Muhib Ali! jao kalay bakray sadqa do meray lal ko hosh agya us Sonay Pak RUb ka karam hai" Ama Bi ne qareeb tareen kharay khadim ko hukum dia"Ama Bi! zohra!""han putar! waisay teri inhi baaton ne usse sar carha rakha hai na kuch kha rahi hai na pee rai hai jab se to is bistar par para hai wo dargha main bethi hai roti rehti hai RUB sonay se teri zidagi mangti rehti hai. han!.. ye teray liye banaya tha usne jis roz to behosh hoa tha hai to aj tesra din magar dekh le.." unhon ne uske hath main kaghaz ka ik tukra pakraya... Han! kaghaz ka tukr he to tha jo unke dil ke tukray ne likha tha go ke lafz mitay mitay se thay par pata khoob chal raha tha jo lafz nazar arahay tha wo ye thay "I love you Baba! please theek hojao!"..
Tabhi kamray ka darwaza khola wo pari paikar andar dakhil hoi.. hiran se tezi liye wo bap ke seenay se lagi hichkiyan bharnay lagi"Baba! apko pata hai ada ne kaha app behosh hogaye main ne kaha bhi app to so rahay ho par ada ne .. ada ne kaha mujhe kuch nahin pata unhain pata hai kiun ke wo betay hain ... baba! app batain na app so rahay tha na .. mujhe dar lag raha tha baba ab itti dair mat soiye ga please baba" Wo choti si 8 saal ki Zohra berabt andaz main najane kia kia keh rahi thi ke unahon ne use usko galay laga kar khosh karaya. Ankhain mondeen phir khud kalami ke andaz main kaha"Ye kis ne kaha ke betiyan kuch nahin janteen? ye beetiyan he to sab kuch janti hain. Inhain bachana hoga is sab se jo dekha hai gar wo khuwab tha to isse haqiqat main dhalnay se pehlay rokna hoga kaheen ye beetiyan rul na jain kaheen phir kisi ki kamsin masoom beti yun 'Khoo'n Baha' k naam par apno he ke hathon barbad na ho jaye" wo halkay halkay bol rahay thay ke do nanahay nanahay hathon ne unke behtay hoay anson ko saaf karte hoay beqara lehjay main poocha"Baba jani!""Jee! baba ka betta""Baba main beti hon""acha! baba ki beti""Ap kiun roay? dard ziada ho raha hai?" beti ke masoom lehjay ne shayed uskay tamam zakhum bhar diye (han use rokna hoga waqt k hathon in bettion ko rultay hoay)"Nahin betta! baba ki betti hai na baba ke pass phir dard kaise ayega?""Nahin ayega na?" Zohra ne beyaqeeni se poocha"Nahin ayega!" unhon ne yaqeen se kaha or usse galay lag liya or phir kaha "Ahhhhhhh! ye betiyan!"
P.S(Dedicated to all dad's and thier daughters!I LOVE YOU DAD! :( & Blimme its fo you DAD! )
Epic College Love Stories – 5: Sayoni beckons
3 months ago