P.S (all is work of fiction)
Wednesday, October 12, 2011
Who is big?
P.S (all is work of fiction)
Sunday, September 11, 2011
Me aur Barish <3
Me aur barish akele thay. Asma’n pe wo jalwafigan thi aur zamen par main jalwagar. Har ik khush tha aur me, me muntazir. Suna tha main ne k ye barish jumood ka hai ayi qatl karne, umeed ka phir diya jalanay. Thakan zada har ik matti k na-khuda ki piyas bujhanay, magar hoa to kuch ye mukhtalif hai. Jo dikhtee’n hun nazar utha kar to tamam matti hai pani paani aur jo nazar jhukaon to manzar bilkul he mukhtalif hai. Me pyas apni bhuja to lun par zameen e dil par ye khoo’n ki lariyan abhi bhi halke halke sisak raheen hain. Ye dheere dheere machal raheen hain, mujhe aur barish ko tak rahi hain…
- unhinGed ~
Thursday, June 2, 2011
Mushkil batain!
Amma kehti theen jhoot naheen bolte. Main ne poocha bhi ‘Amma! jhoot kia hota hai’. Kehnay lageen ‘Jiska wajood ho he na wo jhoot hai’, bas tab se aj tak main yaqeen o be yaqeeni k kaifiyat main dolte hoay zindagi naam k is bhayanak khooni samandar me hr ati jati lehron k saath dol ri hun. Amma ghalat to kehteen nahi theen par jo wo kehti theen wto aj hai he naheen mojood. Wo kehti theen ‘hum sab k oper bhi koi hai jo dekhayi naheen deta par hai’, magar yahan to har koi apne ap main KHUDA hai. Unhon ne sekhaya tha ‘Dost saath rahain na rahain dosti saath rehti hai’, par amma sach dosti hoi ya jhoot dost?
Jab hath main chot ayi thi tab patti karte hoay amma ne kaha tha ‘nazar anay walay zakhmon se gheray wo ghao hotay hain jo dekhte naheen’, to unki patti kiun naheen karta koi? Log jo dekhte hain, jo sunte hain wohi to wo mante naheen. To kia jhoot wo hai jo nazar naheen ata ya sach wo hai jo zahir hai… Shayed Amma he mushkil batain karti theen…
Friday, May 27, 2011
Yak-tarfa (One sided)
Koi tum se bhi, ab! agar poochay to tum bhi keh dena, ye sab rishtay ajab he hain. Sab he ke rang niralay hain. Koi ehsaas ki manind hameesha saath rehta hai, koi chand ki manind bdli me chupta phir nikalta hai, koi phol ke jaise nazakat se sanwarta hai or koi kaanch ke jaise hameesha chubhta rehta hai. Ye sab rishta alag se hain sab he k andaz juda se hain. Magar yeh sab yaak-tarfa rishte hain. Mein ne sari umr yeh apni inhe soochon me guzari hai, taluq yak-tarfa naheen hotay. Ye dastoor he naheen inka, magar ab jo inko jiya hai to samjh me agaya ab ye k sab kuch he hum se hain. Han bas fark itna hai hai k jisse taluq ho uski ummeed ka mehwar bhi hum he hojate hain. Sab he lafz, sab he batain, sab he rasmain, sab he rang tum se he rehtay hain. Koi roothe tu hum chootay ki tafseer ban jana, wo na bolay to gum sum tasveer ban jana, bhala kahan ki yeh sharafat hai?? Kia ye mohabbat hai, ye ibadat hai…
- UnhinGed ~
Sunday, February 6, 2011
Thought # 0 paragraph 5 :P
Saturday, January 8, 2011
be-rabt!
Mujhe naheen maloom shayer shairi main kisko khojtay rahte hain. Kia gulaab ka zikr krte hoay bhi wo us pari-wsh ki tasveer ankhon main sajaye hotay hain ya dehaaan main bas woi gulaab uski narmi basi hoti hai. Mujhe ye bhi naheen maloom bananay wala khoobsurti ko, kamal par foqiyat deta hai ya naheen. Mujhe bas itna pata hai k mera din dhalnay se lekar subh-e-sehr tak unwannay guftago ik he zaat hai. Kuch soochain hoti he itni haseen hain k alfaaz unke liye kam par jatay hain wo to phir shaks hai. Main naheen chahti k wo kabhi bhi yeh parhay meri tehreeer samjh kar magar kabhi parhay agr to un andekhay jazbat ko jinhun ne majboran mujh se ye likhwaya. Main ab tak halat-e-khuwab main hon, ho sakta hai jab ankh kholay to yeh sab mojood he na ho magar jo abhi hai wo haseentareen hai. Hosakta hai wo mujhe na chahta ho magar meri mohabbat k liye yeh zaroori he kab raha hai ab ya shayed yeh bhi ik farzi baat hai. Abhi khuwab main hon to kehna asaan hai. Han uski judayi shaaak hogi dil par magar ……