Thursday, June 2, 2011

Mushkil batain!

Thursday, June 2, 2011

Amma kehti theen jhoot naheen bolte. Main ne poocha bhi ‘Amma! jhoot kia hota hai’. Kehnay lageen ‘Jiska wajood ho he na wo jhoot hai’, bas tab se aj tak main yaqeen o be yaqeeni k kaifiyat main dolte hoay zindagi naam k is bhayanak khooni samandar me hr ati jati lehron k saath dol ri hun. Amma ghalat to kehteen nahi theen par jo wo kehti theen wto aj hai he naheen mojood. Wo kehti theen ‘hum sab k oper bhi koi hai jo dekhayi naheen deta par hai’, magar yahan to har koi apne ap main KHUDA hai. Unhon ne sekhaya tha ‘Dost saath rahain na rahain dosti saath rehti hai’, par amma sach dosti hoi ya jhoot dost?
Jab hath main chot ayi thi tab patti karte hoay amma ne kaha tha ‘nazar anay walay zakhmon se gheray wo ghao hotay hain jo dekhte naheen’, to unki patti kiun naheen karta koi? Log jo dekhte hain, jo sunte hain wohi to wo mante naheen. To kia jhoot wo hai jo nazar naheen ata ya sach wo hai jo zahir hai…  Shayed Amma he mushkil batain karti theen…

4 blogger feels ..:

Anonymous

nice one
sach kaha aajkal
wajood to kai cheezo ka nahi hain
adhiktar nakli hain sab

Pratibha

you still write such heart felt lines .. bless you

~an old reader :)

Unknown

Nice. Keep it up.

Simi

behad hi umda baat kahi hai apne.

 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates