Friday, May 2, 2014

Silent Scream °

Friday, May 2, 2014

(Image courtesy: Deviant Art)

Kon samjhta hai k ye khamoshi, khamoshi k sewa sab kuch hai. Kon janta hai k ye tanhai, tanhai k sewa sab kuch hai. Tum naheen jante, han naheen mante. Tum ne khamoshi se kabhi baten ki hain? Kabhi us khamoshi me chupi sardmuhri mehsos ki hai? Ajeeb sanata rehta hai khamoshi me, itna andhera, itni wehshat k tamam umar guzar jaye phir bhi kamoshi ka karb samjh naheen aa'sakta. Khamoshi me dard hai, bala ka dard, ek gehri cheekh jese koi gumnam, gumshuda zakhmi ho. Esa zakhmi, jo apne upar dhaye janay walay zulm btanay se qasir ho. Kisi ki khamosh k andar jhank kar dekho, to tumhain pata chalay andar kese r'un ka alam hai, jung ki kaifiyat hai, ek kashmakash hai. Ghabrahat hai, bechani, izterab aur ek ajeeb sa shoor hai. Kesi tufan ki amad ka shor. Khamoshi ka raaz sirf khamoosh janta hai. Mje jese aman parast ko khamoshi achi naheen lagti, jab se ama ne bolna sekhaya hai me ne chup rehna naheen chaha. Magar ab chup hun, behad khamosh. Ghanton khamoshi me khamosh. Khamoshi bhi ek l'att hai, lag jaye to chorti he naheen bilkul us zulm ki tarhan jiski l'att zalim ko hojati hai. Bilkul us sipahyi ki trhan jo ek jung se fate'h lotay or jeet l'att me dosri p nikal jaye. Tum mje khamoshi me dekho to samjh jana me khamosh hokar khamoshi k sath khamoshi me halat e jung me hun. Khamosh, khamoshi ko, khamoshi se, khamoshi me, harkar khamosh hojate hain jese me khamosh hun.

- UnhingeD°
 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates