Tuesday, March 23, 2010

La-waris…

Tuesday, March 23, 2010

Mujhe naheen pata dukh jab shadeed hojata hai to insaan kaisa mehsoos karta hai. Par in hichkiyon k darmiyan main apne ap ko hawa maulaq dekh rahi hon ik aisi jaga jahan koi naheen hai na he kisi k honay ki talab baqi hai. Inhathon se behnay walay har ik khoon ki bond mujhe zindagi ki ranaiyon ki taraf se khench kr maut k mun main dakhail rahi hai.  Han ye sach hai zindagi khubsurat hai or achay humsafar hon to yeh haseen tar hai magar yahan humsafar ki ab gunjaish kahan. H’an hosakta hai main bach jaon magar main ye yaqeen rakhti hon k boht se logon k liye meri khatum hoti sansain bas safar ki akhri lamhaat hain. Han main har gayi … koi dukh naheen hai mujhe yeh mannnay main k main har gayi. Kiun dukh hoga wo bhi is baat ka mujhe ehsaas hai k ghalti hogayi. Or ghum yeh hai k itnay arsay main fareeb main rahi aj apne apko dekhun bhi to mar janay ko jee chahta hai. Ye khoon ka behna maut ki alamat na bhi ho, hosakta hai ye sehr-e-nau ki naveed ho magar yeh mera wada hai agr zindagi ki zara bhi ramak is jism-e-natawa’n main ab rahi to naye janum ko na mannay wali main MUSALMAAN ik nayi zindgai zaroor shuru karungi un logon k baghair jinhon ne aj mujhe tor dia.. Asaan naheen magar na-mumkin bhi naheen…

TO ALLAH I BELONG AND TO HIM I WILL RETURN!!!

- illusiOn!

( All fiction )

12 blogger feels ..:

HR-Designs

YOu know i never considered myself eligible to post comments here.

You are simply marvellous, your way of expressing and detailing.

Maryum

i wish i cud really describe how i feel about wat u wrote... but there aint no words!

...

:) ... i know how vicissitudes give colour to such expressions, but let me sure you that you wil be succesful if ya movin this way :) .. be positive :)


Jazak Allah

...
This comment has been removed by the author.
...
This comment has been removed by the author.
I Zaydi

HR-Designs..

You are always welcome to my blog.. thank u so much for being there.. always..

I Zaydi

Maryum...

I dont need words from you thats where the miracle began i am even fine with your silence,..

I Zaydi

And finally ATIF...

I am blessed to have you.. i think this says it all

WritingsForLife

ahh... this is so beautifully done. I am reading it again!

I Zaydi

rAAJI!

thank you for making this place beautiful by posting a comment..
<3

Azam

Very good !! keep up the good work. I am really proud of you. You are God-gifted writer so never give up and always write something.

Kahein jazbatoan main ghiray insan hain
Kahein dukhoan main batay insan hain
Tu humqalam hai jinse putlay hain shayad
Ya pathar ki shakal main banay insan hain
Kahein kisi per raaj kartay hain AARSH
To kahein thokaroan main paray insan hain

I Zaydi

Azam!!

Thank you.. :)

 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates