Sunday, March 7, 2010

Mulaqaat!

Sunday, March 7, 2010
Mujhe naheen pata zindagi ki taraf qadam barha rahi hon ya anjam ki kuch bi nhn teh. Naheen yeh bhi khabar k ayinda anay walay dino main yunhi reh paon gi bhi ya naheen. Ala-zarfi hon ya naheen ye bhi naheen pata ik shoor hai andar barpa mujhe naheen kahabr k kal kia hoga na he kuch fikr hai bas ik khauf hai jo andr pal raha hai . Mujhe wo din yad atay hain jab zindagi ki fikrain mukhtasar or khoobsurat hoti theen. Jab fridge main pepsi khatum honay or chocolate na milnay se ziyada bura kuch naheen hota tha. Guriya jab koi bhai tor deta tha to baba boht danta karte thay or yaqeen delaty thay k bas kal he nayi guriya la k den ge pehle se behtr pehli wali se achi. Umr barhi, fikron ka daira taveel hoa or aj ye alam hai k ye dil roz tot’ta hai or koi dekhnay wala bhi naheen. In palkon pe roz moti atkay rehte hain koi poochta he naheen. Mujhe phir se wahan jana hai jab logon se pyar kia jata tha or cheezon ko istemal. Jab kisi k janay ka koi dar  naheen hota tha jab istemal or mohabbat dono cheezain khalis theen. Naheen mumkin main ab ja paon na he saans le paon , ye banjar zameen taweeel safar ……
0481
- illusiOn ~

4 blogger feels ..:

Haris Gulzar

Mujhe phir se wahan jana hai jab logon se pyar kia jata tha or cheezon ko istemal...

Shayad hamari tarjeehat badal gayi hain... Shayad jahan aaj ham hain, us main hamari hi ghalti hai... Buhat khoobsurat tehreer hai (Y)...

I Zaydi

Thanks you HariS

Anonymous

Nice dispatch and this post helped me alot in my college assignement. Thank you as your information.

Maryum

without doubt u have a great command on the language!

 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates