Friday, March 26, 2010

Na – Muraad !

Friday, March 26, 2010

But_your_person_by_koffk

Mujhe naheen pata main behan hon ya beti , maa hon ya bewi . Sayed sirf rishton k naam par roz dhoka khanay wali ik aam si larki. Mujhe aj tak apna qasoor pata naheen chal saka. aj agar maa baap ki suno to bewafa kehlati hon kia Mohaabat jurm hai, agar hai to meray maushray main basnay walay mard ye kaise kar saktay hain. Mera jee chahta hai mujeh phank lag jain or main kaheen badlon main dor urh jaon kabhi na aon. Phir ye khayal ata hai k parinday b sham dhalte he apne gharon ki rah dekhte hain. Bas wo lamha kathan jan kar main ye zulm sehti hon. Ye log kia bekhabar hain k ikhtiyar anay k bad bhi agar main inka saath deti hon to bas waja he mohabbat hai jo mera jurm hai. Or agar mohbbat jurm hai to phir kon si rishtedari, kaisa rishta, kahan ki dosti or kaisa taluq? har cheez maya hai. Mera bhi jee chahta hai kabhi to ho koi mujhe na rokay, koi na tokay, kabhi to kahay  k han tum azzad ho jo chahe karo… Islam k anam par ma, behnon or betiyon ka qatl karne walon kia tum naheen jante yeh humari raat o din ki duain hain jo tum par RAB mehrbaa’n hai. Jis din ye hath uthna ruk gaye tum neest o nabood hojaoge…

Faqt,
ik Sanf-e-nazuk… Ik Na – Muraad…

- illusiOn~

P.S( all fiction)

2 blogger feels ..:

HR-Designs

wow i liked part

um naheen jante yeh humari raat o din ki duain hain jo tum par RAB mehrbaa’n hai.


well written but i think..kuch zyaada nai hogyaa!!

I Zaydi

Thanks swweethrt for such comments..

 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates