Saturday, November 29, 2008
Kehtay hain buray doston aur buri suhbato'n se tanhai bohat behtar hoti hai magar ye batain dar-haqiqat hamari zindagi main lafazi se ziada koi ehmiyat naheen rakhteen (sach kaha na?). Ajeeb baat ye hai ke bohat kam log hum main se 'Akailay-pan' aur 'Tanhai' ke darmiyan mojood farq se waqif hotay hain.. (Lijiye baaton baaton main ghar bhi agaya)
Jantay hain mujhe apnay ghar ki sab se achi aur sab buri baat ik he lagti hai aur wo hai hamaray ghar main mojood sab hi logon ki beinteha masroofiyat. Ab ye jo samnay walay kamray main aram se so raha hai isi ko dekh lain han han! yehi jo 1:00 bje tak asmaan par taray ginta hai ye mera sab se chota bhai hai umr hai 13 saal MASHALLAH se shehr ke meh'nge tareen school main parhta hai chand achay larko ka dost bhi hai, din bhar parhai or khail-kood main masroof rehta hai phir bhi khud ko "TANHA" mehsoos karta hai. Bhala hai koi baat?
Ab is kamray ke dai'n janib jo kamra hai na wo kamra mera dada-jan ka hai umr unki kareeban satar (70) hogi. Jawani main kabhi Allah ke agay naheen jhukay magar ab sirf yehi kam kartay hain. Ye bhi din bhar namazain shukranay ki, farz aur qaza ki ada kartay rehtay hain. Doston se bhi miltay rehtay hain phir bhi "TANHA" hojanay ka gila karte hain. Khuda ke saath bhi tanhai?
Yeh jo sehriyan charh kar samnay he darwaza hai ye meri behan ke kamray ka hai. Duniya ka koi kam karna uske bas ki baat naheen. Aray! wo to apna kam he minaton se karti hai wo bhi sirf zarori to hum hareeb kis khait ki moli hain? Din bhar mohtarama hamaray ghar ki riwayat ko barqarar rakhtay hoay ghar main mojood he naheen hoteen or jo kabhi waqr mayasar ajaye to t.v ke remote ki mano shamat ajati hai itni masroofiyat ke bawajood usse bhi "TANHA" honay ka gilla hai.
Ye dai'n janib khulnay wala darwaza un do hastiyon ke kamray main khulta hai jo humain duniya main lanay ka zarya banain hain. Bilkul jee humaray waldain, jo subha uthtay he kam ka aghaz kardetay hain. Ik kamray main rehnay walay ik dosray ki shakal se nafrat kartay hain itni nafrat ke na to ik dosray ki shakal dekhna chahtay hain aur na he dekhana chahtay hain. Dono apni he zaat main gum hain aur khud ko apni apni jaga "TANHA" mehsoos kartay hain.
Raha sawal mera to ye serhiyon se bai'n tarf janay wali simt par bana akhri darwaza meray kamray ka hai jahan hasb-e-haal cheezain be-thikana hongi. Kai kapray bistar par honge jinhain main har raat sonay se pehlay utha kar kursi par dal deta hun aur jab kursi par bethna ho to bistar par dal deta hon. Kamray main dakhil hotay he boo ayi thi na? ye paint ki hai. Meray ghar walon ko lagta hai ke main "TANHA" hon tabhi din bhar awaragardi karta rehta hon kamra bekhair ke rakhta hon jab ke sirf main janta hon ke
"Wo Sab Tanha hain Main To Sirf Akaila Hon"
0 blogger feels ..:
Post a Comment