Magar jo wo na hota to kon mujhe sagar-e-chashm pr zapt ki ashnayi deta? Kon jatata k zuba’n honay k bawajood bhi anay walay lamhon main wo kaifiyat hosakti hai jb lab chahnay k bawjood ik dosray main pewast rehna chahtay hain or nighain guftugu karteen hain. Kon dekhata k kuch sahir aise bhi hain jo jadoo jism pe naheen seenay main mojood dil pe krte hain, k wo shikari dil k hotay hain. Jo dil lejain to na kabhi khud palat’tay hain na dil he ki wapsi pr razi hotay hain. Unhain to aksar khabr bhi naheen hoti k shikar kab jaal main phansa or kab uska dil amanat ban k unke hathon main muntaqil hoa. Tbhi to wo bhool chook main dil tor dia karte hain! Qasoorwar to sahir bhi naheen, k wo to apna kam kiye jataa hain. Ab koi dekhay baghir chalay to bhala shikari kiun kar na shikar kary…
Koi to jakar us zalim siyaad khabr karay k ye lab kahmosh hain pr samat ka har gosha uski ahat pa lena ka muntazir hai. Koi to jakar bataye k shan-e-beniyazi se wo jis gali se dil chura laya tha wahan pr mojood shikar ab neem-murd halat main faqt dedar k liye maut se ankhain churaye intezar ka chola urhy para hai. Koi to jaye, koi btaye k kaheen dair na hojaye…
- UnhingeD ~