Agr ussay dekhna ankhun ki ghalti thi to kiun hain ye ab tak salamat? Agar usay soochna besood hai to ye sooch khalq he kiun hoi? Hai ishq ajeeb to ajeebtareen main hon! Agr uski chahat bas ik khayal hai to yeh khayal dil main aya kiun? yeh dil he kiun hai! Ay! RAB na rakhta koi chahat ki umeed bas ik lothra he rehnay dia hota. Na dil hota na zehn-e-natwa itni mushakat kiun kr karta, itna larta, itna thakta... Main ye zindagi jee he leti bina kuch kahay, bina chahy, bina soochay. Kia tha jo yeh lab na hotay, izhar-e-chahat k na mutamani hotay, na mera dil mujhe rat rat bhar phir bechain kar pata. Main dil ki khuwhish ko zehn main na jaga deti na shab-bedari mera naseeb banti. Na har karwat mera jism letay hoay kar’rahta, na ungli labon ki siskiyon pe band bandh kr usay dil ki hasrat banaye rakhteen. Jo ye na hota to wo aj dil ki bas sirf sada na hota mera hamsafar hota…
Magar jo wo na hota to kon mujhe sagar-e-chashm pr zapt ki ashnayi deta? Kon jatata k zuba’n honay k bawajood bhi anay walay lamhon main wo kaifiyat hosakti hai jb lab chahnay k bawjood ik dosray main pewast rehna chahtay hain or nighain guftugu karteen hain. Kon dekhata k kuch sahir aise bhi hain jo jadoo jism pe naheen seenay main mojood dil pe krte hain, k wo shikari dil k hotay hain. Jo dil lejain to na kabhi khud palat’tay hain na dil he ki wapsi pr razi hotay hain. Unhain to aksar khabr bhi naheen hoti k shikar kab jaal main phansa or kab uska dil amanat ban k unke hathon main muntaqil hoa. Tbhi to wo bhool chook main dil tor dia karte hain! Qasoorwar to sahir bhi naheen, k wo to apna kam kiye jataa hain. Ab koi dekhay baghir chalay to bhala shikari kiun kar na shikar kary…
Koi to jakar us zalim siyaad khabr karay k ye lab kahmosh hain pr samat ka har gosha uski ahat pa lena ka muntazir hai. Koi to jakar bataye k shan-e-beniyazi se wo jis gali se dil chura laya tha wahan pr mojood shikar ab neem-murd halat main faqt dedar k liye maut se ankhain churaye intezar ka chola urhy para hai. Koi to jaye, koi btaye k kaheen dair na hojaye…
- UnhingeD ~
Epic College Love Stories – 5: Sayoni beckons
3 months ago
9 blogger feels ..:
Boht khoob!
really nice! :)
i really liked how you ended it:
Koi to jakar bataye k shan-e-beniyazi se wo jis gali se dil chura laya tha wahan pr mojood shikar ab neem-murd halat main faqt dedar k liye maut se ankhain churaye intezar ka chola urhy para hai. Koi to jaye, koi btaye k kaheen dair na hojaye…
muwahh! :)
Maryum!
stay blessed jani..
@ Alisha
thank-you for dropping here..
@ H-R
I always look forward for your comments as reading you is like reading myself in mirror though eyes. Every word fused in feelings and rays so grasping so overwhelming.. Thank you..
Very impressive!
meaningful reading, you knew where you are going all the way right from the beginning until the very end.
I remember one shair on same ground:
Qafas mei rehte rehte kuch youn hoee Siyaad se Ulfat
Mein khud hee nooch leta hoon mere par jo ab nikalte hain ..
God bless you,
Cheers
@ Adnan!
Thank you so much for stopping by and replying I am honored..
i have left writing insi.
reading yours, i can never write better. You are my voice. :) no?
I loved it!
i have only had some minutes and i peeked in. i loved it completely.
you know what i felt? as if i am reading a poem, koi nasri nazam ho jesay.
mayre khayal mei tumhay koshish kerni chaheyeh isko nazam ki shakal daynay ki! bohat hi khobsorat hay bachay :)
mujhe pehla para bohat acha laga.
per end! haye mar daaala!!!!
Post a Comment