Tuesday, May 19, 2009

Something.. more then a relaity.. more then a fact..

Tuesday, May 19, 2009

I dont know why i wrote it.. what made me.. but.. i did.. and here it is..

Mujhe hameesha aisa lagta raha k main or tum ik he kashti ke do muasfir hain or is guman main kabhi pata he naheen chala k main or tum na sirf mukhtalif raston k musafir hain bulkay humaray lkhuwab, mazilain sab he kuch alag hai hum to bas milay thay ghari do ghari k liye bilkul aise he jaise do musfir ik he rastay par kuch dair safr kartay hoay, saath chaltay hoay, ik dosray ko ik muskurahat se nawaz diya karte hain bas yehi haqiqat hai meray tumaharay is benaam rishtay ki. Han! mera gumaan tha tumhara saath .. tumhari humrahi, shyed meray lashaur k kisi goshay ki nanhi se khuwahish thi.. bas ik khuwahish..

Jantay ho ab jo yeh mulaqat apne anjaam ko aa pohanchi hai to yun lag raha hai k main lab-e-ja'an hon .. neem murda halat main .. tumhain yun yaad kar rahi hon jaise koi dam-e-marg sokhay galay main chubhnay walay kanton ki shidat se, us dard se bachnay k liye, ja'an kani ki halat main pani ko talab karta hai, bilkul aisi hi talb hai meri tumharay liye.. magar tumhain kiun fikr hogi k tumharay liye to aj tak humara rishta koi rishta he na tha to dard ho bhi to kiun .. Jana bhi zaroori hai k rasta abhi baqi hai magar jantay ho manzil par pohanchnay tak main har bar palat kar dekhti rahon gi k tumharay laut anay ka imkaam hameesha meri ankhon main rahega .. dil main rahega .. wajood main rahega.. Ab tum chaho lauto ya na lauto main is imkaan ko maqsad-e-hayat bana kar safar ki baqi sobatain teh karlon gi magar manzil par pohanchna ab or bhi mushkil hoga k humrahi ki surat main ab tum naheen honge.. Meri jeet par taali bajanay ke liye tumharay do mazboot hath naheen honge.. mujhe sahara denay k liye tumhara kandha naheen hoga magar ik tumharay janay se kia main akaili waqai hojaon gi? kia koi meray saath naheen hoga..? Agar yeh sach hai to phir .. Kia mera muslmaan kehlana khud ko jaiz hoga? Kia ik tumharay janay se mera har khushi ko bhool jana sahih hoga? Kia ik tumharay zindagi se nikal janay par main bilkul besahara hojaongi? Agar yeh saray khudshay sahih hain meri sooch sahih hai to kia mujhe haq hai main khud ko MUSLIM keh la sakoon? Main jo baray fakhar se 18 saal tak apne har forum par religion k agay ISLAM or MUSLIM likhti rahi kia main dhoka deti rahi har ik ko sameet apnay?

-illusiOn~

1 blogger feels ..:

Arv

translation pls :(

take care mate... cheers...

 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates