Thursday, February 12, 2009

'MulaQaat' ! (IV)

Thursday, February 12, 2009

Before you proceed please make sure you read the previous context given be
MulaQaat ! (I)
MulaQaat ! (II)
MulaQaat ! (III)

Main ussay mili theek ussi jaga faqt ik haftay baad hi. Majboran milna kisse kehtay hain isse hum dono hi waqif thay magar ye kis tarhan ki majbori thi ? Dil ki majbori ya koi or majbori? Is sawal ke jawab se hum dono he nawaqif thay.Main waheen ja kar beth gayi jahan itnay din uske intezar main guzaray thay , ussi bench par jahan hum itnay din beth kar baatain kia karte thay. Kia ye bejaan cheezain bhi humari mojoodgi or ghair-mojodgi mehssos karte hain? Pata naheen kiun par mujhe aisa lagta tha ke ye bhi humari tarhan humaray rishton ko mehsos karte hain ye bhi humari tarhan rishton ki dhoop chah'on ko mehssos karte hain..
"I am sorry" main ne sir utha kar dekha .. sharmindgi chehra par liye wo mujh he ko dekh rahi thi. Main ne uske chehray par se nazrain hattain or samnay kehltay bachon ko dekhnay lagi

"Mujhe maloom hai tum mujh se bohat khafa ho par main sach main bohat jazbati hon pata naheen us roz kia kia keh gayi mujhe maaf kardo" Wo nadim thi magar meray ajeeb ehsaasat thay mujhe yun lag raha tha jaise kuch mehssos na ho raha ho uske chehray pe mayosi jhalki ankhon main shayed pani utra, mujhe theek se pata naheen chala meri ankhon ke gird ik ghubaar sa chah raha tha. Main ne apne haath ko chehray par rakha to maloom hoa ke meri palkain bheegi hoi theen meri ankhain ghubar se naheen balke ansoon se dhondhli hogai theen. Lafz thay ke galay main atkay hoay thay, Meray liye rishtay thay he itnay eham (Muzahika-khiz baat hai magar yeh bhi ik roop hai meray).Main ne chehray ar achanak behnay walay anson ko saaf kia or nazrain jhuka kar ussay baghair dekhay usse mukhatib kia

"Kaisi ho?"

"Theek hon Or tum" Usnay mera baat ko badlna mehsoos kia tha uska chehra androni jazbat ki tarjumani kar raha tha. Par agar chehra sab keh deta hai phir insaan ko lafzon ki kia hajat? Kiun lafz he jazbat ki taskeen bantay hain?Kiun izhar he zaroori hai?

"Main bhi theek hon" Main tamam sawal demagh main rakhay zaba'n par laye baghair usse jawab de rahi thi

"Tum mujhe maaf kardo!"Usne koi teesri bar kaha andaz ap bhi ilteja-ameez tha

"Bhool jao!" Main bas yehi keh payi warna andar uthnay wali tufa'n ke baad ke tabahi mujhe kuch bhi kehnay se baaz rakh rahi thi

"Naheen tum pehlay mujhe maaf karo mujhe pata hai tumharay saath main ne acha naheen kia" Wo misr thi

"Tum choro is baat ko" Mujhe naheen maloom kon si cheez thi jo mujhe [han main ne maaf tumhain kardia] jaise lafz kehnay se rook rahi thi

"Maaf kardo"

"Tum is baat ko bhool jao samjho kuch hoa he naheen"Main ne naram lehjay main usse kaha

"Tum bas ik bar kehdo tum ne mujhe maaf kardia" Wo bhi zid ki pakki thi

"Main ye naheen keh sakti" Main ne har mantay hoay kaha halankay main janti thi ke wo is baat ko bhi ghalat mayni main legi

"Kiun?" Wo hiran thi, main janti hon kiun ussay lagta tha shyed uske nazdeek uska karda gunah itna bara hai ke mai n usse maaf karna naheen chahti magar ye to waja na thi

"Isliye kiun ke meray nazdeek dosti mafff karne or maafi mangnay wala rishta naheen tum chali gayeen theen tum ne ghalat kia dukh dia magar phri tum agaeen or mujeh khushi di tum main ghum ko kiun yad karon?Jan tum agai to main kiun tumharay janay ke un nakleefdeh lamhon ko yad karon?" Main bass aisi he hon janti kuch ajeeb hon par rishton ki meray nazdeek yehi ehmiyat hai


P.S(jab humain khushi milay to lamhay bhar bhi ussay pechlay ghum main zaya karna himaqat ke sewa kuch naheen!)

To Be Continued...!

4 blogger feels ..:

Femin Susan

Hi...
How awesome! Thanks for sharing!!!!!!!

I Zaydi

Thank you dearie...!


I am obliged!

:)

KaNcH-Ki-GuRiYa

hey niceeeeee

I Zaydi

Thanks Gul!

 
◄Design by Pocket, BlogBulk Blogger Templates. Distributed by Deluxe Templates